Tuesday, February 22, 2011

MY FIRST POST FOR THIS BLOG

MAINE SEWING KAISE SHURU KIYA
jab bhi stichig karwaya kuchh na kuchh garbadi jaroon karte thhe tailors............. jabki koi khaas design bhi nahin hota thha ....lekin main kuchh alag design chahati thii ................kuchh alag thhora hat ke; bachpan mein jab bhi kisi tailor's shop per jaati thhi toh sewing machine dekhkar lagta thhha abhi koi naya design garh dun matlab bana dun,but meri soch samay se purwa aur bhagya se adhik kabhi kisi ko kuchh nahi milta ..koi kapra lekar cutting karne baithti to himmat hi nahin banti thii ,kuch sew kar bhi liya to bahar nahin pahan sakte..
mere paas dher saare cloth materials pade thhe silwati nahin thii ki kisi din himmat kar k khud silungi aur mujhmein  himmat aa gayi  maine ek salwar suit sila[ apr' 10 ] [hand stitching]  perfect cutting& sewing :)
fir ye mere sweet better half ne dekha ,main bahut khushnasib hun ki mujhe bahut hi achchhe better half milehain,
wo mer kiye gaye har kkam ko protsahit karte hain aur mere kaam mein nikhaar laate hain.
ye Ritesh ki shaadi ke pahle ki baat hai yaani[ may'10] mein maine 2 blouse sila haath pefect sila lekin chhota ho gaya 32 k jagah 30 kyon ki tab tak formula pata nahin thha.    jaankar khushi hogi
Dhanteraa k din mere liye ek aur gift lekar aaye yaani sewing machine,,

demo dene aaye isse pahle main booklet sew sab sikh gayi lekin sewing nahin sikh payee  .............
3 needles maine tor daale aaj feb hai sewing start kare k baad ek bhi  needle nahin tuta  aur main 8 salwar suit sil chuki hun jismen se 6  ko achchhi tarah se bahar paha k ja sakte hain...................log taarig karte hain:)


ab agli baar mere exp. share  karoongi.......